Monday, August 12, 2013

Gunaahgaar kaun

Gunaahgaar tum hote to koi gam nahi hota
Saja bhi mili to hum pe raham na hota
Per ye kaisi saja hum bhugat rahe hain
Roj katra katra hum jaane kaisi aag me jal rahe hain
Nibhai thi humne insaaniyat ki rasme
Kho diya humne sab kuch uspe bharosa karke
Gumaan nahi tha ki mitti me mil jayenge
Is wafa ke badle aisi sakht saja payenge
Najre karam ae khuda ab tu hi kar humpe
Sahi ka faisla tu hi karega kasam se
Agar mai gunaahgaar hu to sath na mera dena
Per agar wo kasoorwaar hai to chod na usko dena
Teri rehmatoan per hi bus ab mujhe aitbaar hai
Khuda tu jahan bhi hai jaisa bhi hai tujhse hi saccha pyar hai
Ab to bus rooh ko teri hi pyaas hai
Aur aankho ko tere dedaar ki aas hai

No comments:

Post a Comment